Batao batao me kal Maa se pucha Zindagi kya hai...?
Thoda socha unhone or kaha Zindagi...!!!
Zindagi tu hai mere laal...;)
May haas pada or haste hue pucha kaise...?
Zindagi ek phaali hai hum ushe jitna samjhne jaate hai utne he uljaate jaate hai...Humne lagta hai ke hum zindagi ko jaante hai par zindagi ushi pal humara ye bharam thod dete hai or kuch or he nazaar aati hai...
tu bhi bus wasa he hai...Tujhe may samjhna chahti thi par nahi samjh paayi aaj thaak...Tu har pal badalta rehta hai...
Tu zindagi ke tarah bahate rehta hai...Tu kisi ke roke se nahi rukhta...Tu bus behata jaata hai...Tere ek alag he duniya hai jisme sahi or galaat kuch hota nahi...Jo hota hai bus tera hota hai...Tere upper kisi ka control nahi hai...Khud tera bhi nahi...Tujhe na, har koi jeena chahta hai...par tujhe jeena har kisi ke bas baat nahi...Teri khamoshi me bhi sawal hai...Teri alfazoo me bhi jawab nahi milte kabhi...Tu bolta kuch hai or log samjhte kuch hai...Tujhe samjhna hai tu us pal ko samjhna hoga par ushe samjhne bayte tho wo pal he guzaar jaayega...Tho simple hai ke soch samjh chod ke tere sath ho lo...
Tu bawaara Samundar hai kabhi bewajah shant rehta hai kabhi bewajah gusse se bahar hu...teri har lehar kuch naya he faasana kehti hai...Teri har ek mauj me alag he khasish hai...Bahuto ne chaha hoga ke teri gehari naape...Par hua yu hoga ke kisi me bhi hosala na raha hoga barbaad hone ka, tujh me utarne ka...Or jisne thoda hosala dekhaya hoga wo adhure me he wapas laut gaye hoge...Teri koi manzil nahi hai tera koi rasta nahi...
Par ha teri is belaagam kashti ko lagam dene ke khosish bahut log karege...
shyaad may bhi...Par yaad rakhna ke Tu zindagi hai tu kisi ke liye rok nahi shakta...!!!

No comments:
Post a Comment