Monday, March 24, 2008

Rat tanha, dil mayus, yaad kuch dundali se,
sanate me gunjati wo khamoshi kuch apni se...

tanhai me andheri rat kuch roshan se,
dil ko jalati wo aag kuch apni se...

bewajah mayus dil kuch shahama sa,
aankhoo se rishta wo lahu kuch apna sa...

khayaloo me gumati yaade kuch dundali se,
bete lahmo ko tatolate wo jazbat kuch apne se...

Rat tanha, dil mayus, yaad kuch dundali se,
sanate me gunjati wo khamoshi kuch apni se...

Thursday, February 28, 2008

Har ek narm kiran iytar me nahai se hai,
ye dup uske dupate se chan kar ayi hai...

Jaha jaha gire hai mere assu kagaj par,
waha waha teri tasver ubar kar ayi hai...

Aur mere zakham zamane ko zindgi denge"khush",
ke humne uski mohobat me chot kahayi hai...
Hosh me tha laykin ye mohobat hogi kayse,
zaher udasi ka in rago me utar gaya kayse...

Ushe bhule tho barsho ho gaye hai par,
kal uske ghar may pucha gaya kayse...

Jane kissi rehebar ke reharmatoo ka ashar hai "khush",
kal tha nashe me ghar apne may pucha gaya kayse....
Kabhi yu bhi tho ho,

Chandani rat ho,tanhai ho,
yaado ke jagha tum aaoo,
kabhi yu bhi tho ho...

Katal tumhara ho,ilzam humpe aye,
saza me zindgi bar sat tumhara ho,
kabhi yu bhi tho ho...

Khamosh zuba tumhari ho,bholati kalam humari ho,
chand lafazoo me masum nazm ban jaye,
kabhi yu bhi tho ho...

Ghazal khud sher karhe aur shair sune,
"khush" kabhi yu bhi tho ho...
Uhi kat rahe the zindgi banjaro ke tarah,
kissi ajnabi ke khulush ne awara bana diya...
Utho na koi arju thi na chah sirf bechayne thi,
shine ke gumnaam khala ne awara bana diya...
Uhi firthe the din rat gumnaam ke tarah,
ye dekho "khush" aaj hashil-e-khulush ne dewaana naam bana diya...
kissi ajnabi ke khulush ne awara bana diya...
May deewaan,
logo ke jawabo me chupe khamosh sawal dundta hu,
may ajeeb tufano ke utane ke shawab dundta hu...
Hasen mehafilo me ajnabiyo ke bich apne dundta hu,
may ajeeb apno ke bich me sukun-e-tanhi dundta hu...
Unke masum alfazoo me bahuti khamoshi dundta hu,
may ajeeb unke masum alfazoo me apne kalaam dundta hu....
logo ke jawabo me chupe khamosh sawal dundta hu,
may deewaan tufano ke utane ke shawab dundta hu...
Ankho mein bhar ke unki tasveer-o-aks,
hum ne intezaar mein aankhein band kar li....
Zara der mein jo aayi unki saanso ki khushboo,
Humne khud se hi baatein chand kar li....
Uth ke jo chale gaye tum achanak khwaabgaah se,
Yun hi tere laut aane ki dua fir buland kar li......